Showing posts with label Hindi Poem. Show all posts
Showing posts with label Hindi Poem. Show all posts

Saturday, May 14, 2011

Chehre ki hasi se har gam ko mita do

Chehre ki hasi se har gam ko mita do,
bahut kam bolo per sab kuch bata do,
khud na rutho par sabko manalo,
yahi raaz hai zindagi ka bas jee ke dikha do...

Friday, May 13, 2011

Kabhi kabhi ye jindgi bemaani si najar aati hai..

Kabhi kabhi ye jindgi bemaani si
najar aati hai,

Kisi viraan khandhar ki kahani si najar aati hai,

Koi maqsad nai jine ka phir bhi ji
raha hu,

Kiyoke aatit ki yaado ki ye nishani
si najar aati hai,

Kabhi kabhi ye jindgi bemaani si
najar aati hai

Kya dekha kya suna,kya khoya kya
paya,

Bahut matlab hai in baato ka jiwan
me,

Par jab dekhte hai bhitar aapne jhank
kar,

Jindgi khud hame bematlbani si najar
aati hai,

Kabhi kabhi ye jindgi bemaani si
najar aati hai

Ye
dosti ye pyar ye aasre sahare,

Bahut aache lagte hai apnane me,

Par jab apna hi koi de jata hai
dhokha,

Ye baate duniyadari ki sab begani si
najar aati hai,

Kabhi kabhi ye jindgi bemaani si
najar aati hai

Ye dolat ye shohrat, ye maan maryada,

Umar bhar mayne rakhte hai hamare
liye,

Par jab mout kaat jaye jindgi
ka rasta,

Ye chijen tab sari aanjani si najar
aati hai,

Kabhi kabhi ye jindgi bemaani si
najar aati hai

Ye hasna ye rona,ye ruthna manana,

Sab chalta hai jiwan me bahut se pyar
se,

Par insaniyat ke kaam ne jab aa sake
insaan

Phir puri kaynaat bi hewani si najar aati hai.

Kabhi kabhi ye jindgi bemaani si
najar aati hai

Kisi viraan khandhar ki kahani si najar aati hai